
Apnā khayāl rakhnā…
Tabī’at ṭhīk nahīñ hai kya?
Āvāz bahut dhīre se ā rahī hai.
Bahut din ho gaye the bāt sune,
Sochā ke kām meñ maśrūf ho.
Din badalte gaye,
Kuch khabar nahīñ ā’ī,
Sochā ke bhūl gaye ho tum.
Hum to itne hī samajhdār haiñ!
Apnā khayāl rakhnā…
Yeh main tumse kahūñ, yā
Apne āp se? Dono ek hī toh haiñ.
अपना ख़याल रखना…
तबीयत ठीक नहीं है क्या?
आवाज़ बहुत धीरे से आ रही है।
बहुत दिन हो गए थे बात सुने,
सोचा कि काम में मसरूफ़ हो।
दिन बदलते गए,
कुछ ख़बर नहीं आई,
सोचा कि भूल गए हो तुम।
हम तो इतने ही समझदार हैं!
अपना ख़याल रखना…
यह मैं तुमसे कहूँ, या
अपने आप से? दोनों एक ही तो हैं।